Sunday, August 4, 2013

Do Shaksho par Kabr ka Azab

Bismillah-irRahman-NirRahim

Hadith: Do Shaksho par Kabr ka Azab……….Allahumma Awizubika min Azabil kabr
( Two persons who were being tortured in their graves….)

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ek baar madina ya makka ke ek baagh mein tashreef le gaye wahan Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do shaksho ki Aawaz suni jinhey unki kabr mein Azab ho raha tha Aapney farmaya inhey azab ho raha hai aur kisi bahut badey gunaah ki wajah se nahi phir Aapney farmaya baat ye hai ki ek shaksh unmein se paishaab ke cheenton se bachney ka ehatmam nahi karta tha aur dusra shaksh chugal khori kiya karta tha phir Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne (khajur ki) ek daali mangwayee aur usko todkar Do tukdey kiya aur unmein se (ek ek tukda) har ek ki Qabr par rakh diya logon ne Aap Sallallhu Alaihi Wasallam se pucha YA Rasoollallah ye aapney kyun kiya Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya isliye ki jab tak ye daaliyan khushk ho shayad us waqt tak un par Azab kam ho jaye Sahih bukhari , Vol 1, 216

English Translation:
Narrated Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhuma Once the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , while passing through one of the grave-yards of Medina or Mecca heard the voices of two persons who were being tortured in their graves. The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "These two persons are being tortured not for a major sin (to avoid)." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam then added, "Yes! (they are being tortured for a major sin). Indeed, one of them never saved himself from being soiled with his urine while the other used to go about with calumnies (to make enmiy between friends). The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam then asked for a green leaf of a date-palm tree, broke it into two pieces and put one on each grave. On being asked why he had done so, he replied, "I hope that their torture might be lessened, till these get dried."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4, Number 215:

No comments:

Post a Comment