Thursday, July 17, 2014

Dua maangne ka tarika kya ho

Dua maangne ka tarika kya ho
--------------- --------------- - -------
Dua maangne ka behtar tarika ye
hai ki jese hum namaz ke kaide
mein bethte hain wese adab se
beth jaaye.
Dua is tarike se kare.
(1) Sabse pahle 3 baar darud
sharif padhe.
(2) Phir Allah ki taarif bayan kare.
(3) Phir apne maa-baap ke liye
dua kare.
(4) Phir apne ghar walo,
rishtedaro aur islami bhaiyo ke
liye dua kare
(5) Sabse aakhir mein apne liye
dua kare.
(6) Dua puri hone ke baad phir 3
baar darud sharif padhe.
(7) Aur yeh bhi keh sakte hain ki
Allah meri in duao ko apne habib
hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ke sadke tufel
mein kubul farma.
Dua mein in baato ka dhyan
rakhe.
(1) Dua beth kar ya sajde mein
jaakar kar sakte hain, lekin sajde
mein jaakar karoge to jaldi kubul
hone ke chance hoge kyonki
sajde ki halat mein banda Allah ke
bahut karib hota hai.
(2) Dua karte time aisa na ho ki
sirf zuban par dua chal rahi hai
aur dhyan kahi aur hai yaani dua
mein Allah ka dhyan rakhe ki hum
usse dua kar rahe hain.
(3) Jese koi baccha ro-rokar, zid
karke apne maa-baap se koi
cheez maangta hai, Allah se bhi
wese hi rokar, gidgida kar dua
kare, agar rona na aaye to rone
jesa muh hi bana le.
(4) Dil mein ye yakin rakhe ki Allah
meri dua zarur sunega.
(5) Allah se sirf acchi dua hi
maange, aisi dua na kare ki Allah
mujhe aaj jua mein jita de, ya
mujhko accha chor bana de
wagera-wagera.
Kaun si dua hamesha kare -
Allah se hamesha dozakh se
panah maango aur jannatul
firdaus ki dua maango (kyonki
saari jannato mein sabse badi
jannatul firdaus hai). Apne
gunaho ki maafi maango. Duniya
aur akherat ki kaamyaabi
maango. Allah se dua karo ki Allah
humko Islam ke sahi raaste par
chala.
Dua maangna sunnat hai aur dua
Allah ki ibadat ka ek tarika bhi hai,
isliye hamesha dua karte rahiye
aur mujhe bhi apni duao mein
yaad rakhna.

No comments:

Post a Comment