Thursday, June 6, 2013

o apney baalon ke saath nakli baal laga kar usey lamba karey

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Jo apney baalon ke saath nakli baal laga kar usey lamba karey us par Allah Taala ki laanat ki gayee hai

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Ek ansari aurat ne apni beti ki shaadi ki thi iskey baad ladki ke sir ke baal beemari ki wajah se girney lagey to wo Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur arz karney lagi Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam uskey shohar ne us sey kaha hai ki wo apney baalon ke saath dusrey nakli baal (artificial hair) laga le to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya aisa hargiz na karna kyunki jo apney baalon ke saath nakli baal laga kar usey lamba karey us par Allah Taala ki laanat ki gayee hai
Sahih Bukhari, 5205

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: An Ansari woman gave her daughter in marriage and the hair of the latter started falling out. The Ansari women came to the Prophet and mentioned that to him and said, "Her (my daughter's) husband suggested that I should let her wear false hair." The Prophet said Sallallahu Alaihi wasallam, "No, (don't do that) for Allah sends His curses upon such ladies who lengthen their hair artificially."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 133

No comments:

Post a Comment