Thursday, June 6, 2013

Betiyan Sab k Muqaddar main Kahan hoti Hain

 Betiyan Sab k Muqaddar main Kahan hoti Hain  
 Ghar Khuda ko Jo Pasnd Aaye Wahan hoti hain   
Hazrat MOHAMMAD (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) fka Farman:
 Aourat k Liye ye bahot hi Mubarak hai k uski Pehli Aoulad Ladki ho. 
 Jis shaks ki Betiyan hon us ko Bura mat samjho is liye k main bhi Beti ka Baap hoon. 
 Hazrat Ibn Abbas (Razi Allah Ta'ala Anhu) Farmate hai k Rasulallah (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya: Jis mard ki Bhi do Betiyan balig hojayen aur wo un k sath Husn salook kare (khilaye pilaye aur dini Aadab sikhaye) jab tak wo betiyan us k sath rahen ya wo mard un betiyon k sath rahe (husn salook me kami na aane den) to ye Betiyan use Zaroor Jannat me dakhil karwayen gi. [Sanan ibn maja, Jild 3, Hadees:550]

No comments:

Post a Comment