Thursday, June 6, 2013

Gunaah

Logon ke saamne se to hum bachkar gunah karrahe hai duniya aur sharmmindgi ke dar se,Tanhai main bhi Gunaah karne se bacho, kyunki iska Gawah khud Allah Rabbul Aalameen hota hai...beshak woh hume khoob dekh raha hai

Jo banda apne Rab ke paas gunaah-gaar bankar aaega to uske liye dozakh hai,jis main na marenge aur na jiyenge,
Aur jo Banda uske paas momeen hokar aayega,aur ache kaam kiye honge to unke liye bade bade darjaat honge
Yaani hamesha ki jannat hogi ,jis ke niche nehren beh rahi hogi,woh hamesha in main rahenge aur yeh badla uska hai jo paak huwa
Sureh Ta Ha Aayat no:74,75,76

Aur humne har insaan ka Aamaal uske gale ka haar bana kar rakha hai aur qayaamat ke din hum uska Aamal naama uske waaste nikaal kar uske saamne kardenge jisko woh khula huwa dekhlenga ,apna Aamal naama khud padle aur aaj tu khud apna aaphi muhaasib kaafi hai
parah-15,Sureh-Bani isreal aayat no.13,14

Jo log yeh pasand karte hai ke be-hayaee momeen main khoob phaile to unko duniya aur aakhirat main dukh dene waala azaab hoga aur Allah (khoob) jaanta hai aur tum nahi jaante
Sureh Noor Aayat no :19

Aur jo tauba karle aur Imaan le aaye,aur ache kaam kiye,phir seedhe raaste par chale,to main usko bakhsh doonga
Sureh TaHA aayat no:82

Jo naik kaam karenge mard ho ya aurat ,ba-shart ye ke momeen ho to hum usko achi zindagi denge aur unke ache aamaal ka unko hisa denge
Sureh Nahl, aayat no.97

Jo log Allah se bina dekhe darte hai to unke liye bakshish aur bada sila hai (sureh Mulk aayat no-12)

No comments:

Post a Comment