Thursday, June 6, 2013

Jumaa ki namaz ko 3 tarah le log aatey hain

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Jumaa ki namaz ko 3 tarah le log aatey hain
(Three types of people attend Friday prayer)

Abdullah ibn Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jumaa mein 3 tarah ke log aatey hain, ek to wo jo waha aakar behuda baat karey, uska hissa yahi hai (yani usko kuch sawab na milega) aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah Subhanahu se Dua karey agar Allah chahega to uski Dua Qubul karega aur chahega to nahi karega, aur teesra wo hai jo wahan aakar khamoshi se baith jaye na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aagey badey aur na kisi ko takleef pahuchaye to uska ye amal is jumaa se lekar agli jumaa tak bulki aur teen deen ziyada tak ke liye gunaahon ka kaffara ban jayega, kyunki Allah subhanahu ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki karta hai usko 10 gunaa sawab milega
Sunan Abu Dawud, 1101
---------------------------------------------------
Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As: The Prophet (peace_be_upon_him) said: Three types of people attend Friday prayer; One is present in a frivolous way and that is all he gets from it; another comes with a supplication, Allah may grant or refuse his request as He wishes; another is present silently and quietly with-out stepping over a Muslim or annoying anyone, and that is an atonement for his sins till the next Friday and three days more, the reason being that Allah, the Exalted, says: "He who does a good deed will have ten times as much" .
Sunan Abu Dawud, Book 3, 1108

No comments:

Post a Comment