Monday, August 29, 2011

Khato per 786 likhna kaisa hai?


Masla Number 1:- Kya farmate hai ki ulmae deen is masle mein k apne khaton wagaira k lau per 786 likhte hai jabke sunnat Bismillahirrahmanirraheem likhna hai jaise k unke dawat namo se zahir hai jo huzoor aqdas sallahoalaihe wassalam ne eitrafojwanib k salateen k naam bheje the 786 ek gintee hai ye. Bismillah ki jagah nahi le sakti aur ye kehna k 786 bismillah ka adad hai is liye hum us ko bismillah ki jagah likhte hai. Is liye sahi nahi k yahi aidad "hare krishna" k bhi hai aaj kal wahabhi log is per aitraz kar rahe hai.

-------------------------------------------------------------------------------


Al-Jawab

Ye sahi hai k khaton wagaira ki ibtedae tasmiya se karna sunnat hai. Magar ye sunnate maukada nahi k us ka nahi likhna mamnu ho aur uski aadat gunah ho. Sunnat gair maukada hai k agar koi amal kare to sawab paiga lekin khaton wagaira ko log laparwahi se idhar udhar phaink dete hai jis se beadbi hoti hai. aur bismillah shareef quran ki ayat hai jise be wazu choona bhi jaiz nahi

irshaad hai " La yamustohu illah motahharun " use sirf wahi log chue jo khoob paak ho. jis per gusl wajib na ho wo bhi khoob pak nahi, khoob pak us waqt hoga jabke bawazu ho. Khat k peshani per Bismillah shareef likhi hogi to be wazu logon ka haat pad jayega. fir dakkhane k dareeche jo kahton ko bheje jaate hai un khaton ki kya durgat banti hai wo sab ko maloom hai. Dakkhane wale un per paon bhi rakh diya karte hai fir umoomam wo mushrekeen hote hai. ye mushrekeen letter box se nikal lete hai intehai battamizi se us per mohre marte hai thailiyon mein band karte hai. ghaseette hue jahan chate hai le jaate hai. hatta k us per baithte bhi hai. fir yahi mushrekeen apne hatho se use chantte hai.

kya ye sab allah ke asmai mobarak k aur quran majeed ki aayaton ki be adbiyan nahi. Kya kisi musalman ko ye jaiz hai k allah azzojal k asmaye mubarak ke ya quran majeed ko is tarah gair k haathon mein de de. Ulma ne to ayahan tak likha hai ki Quran Majeed ko kuffar ki bastiyon mein na le jayen k uska andesha hai k kahin dushman k haath na lag jaye aur kuffar us ki be hurmati na karne lagen.

To jab khaton mein uska andesha hi nahi balke yaqeen hai k zaroor us ki be hurmati hogi to isliye ahle sunnat ne kahton per Bismillah Shareef likhne ko pasand nahi farmaya. ye masla (yani tasleem suda) Qiada hai k kisi cheez mein nafa wa nuqsaan dono ho to usko tark kar diya jaaye jalbe munafa (yaani munafa k hasil karne) par zarar ka door karna munasib hai.

--------------------------------------------------------------------------------

Gawah hai DEobandi ekabereen taweezein likhte the aur un taweezon k uper 786 likhte the aur taweezon mein bhi sirf aidad likhte the agar asmaye mubarak k aidad mein koi asro faida na hota to deobandi ekabir use kyun likha karte the.

fir ye cheez muslemil saboot yani maani hui mashaikh se maurusi taur per chali aa rahi hai. hatta k deobandi aur gair mukledeen k mashtar k peshwa aur mastand shah wali allah sahab aur shah abdul aziz sahab mohadas dehalwi rehmatullah tala alaihuma bhi taweezein likha karte the jo sirf aidad hi se pur hoti thi. Her hurf ko uske adad k saath ek abtini rabz yani poshida taluq hai jise ahle kashaf yani gahib ki baton ko zahir karne walon ne daryaft kiya. ye aisa nahi k kisi ne ankalpacho (yani sirf andaaz) se use bana liya gaya ho. yahi wajah hai k huroof k aidad naji ki tarteeb se nahi balke uski tarteeb alag hai jo abjad hauz hati mein mazkur hai balke Qazi bezawi k irshaad se pata chalta hai k allah azzojal aur huzoor aqdas salallahoalaihewasallam ne bhi aidad ka aitbar farmaya.

-------------------------------------------------------------------------------
Alif-Lam-Meem maqtaat qurania ki bahas mein likhte hai
-------------------------------------------------------------------------------
ya ye huroof qaumon ki madad se miaad ki taraf ishara hai jumle k hisab se jaisa k usko abulalia ne kaha us hadees se dalil late hue k yahud huzoor aqdas salallahoalaihe wasalam ki khidmat mein hazir hue to huzoor ne (Surae Baqrah) ka

"Alif-Lam-Meem"

padh kar sunaya unhone uska hisaab lagaya aur kaha hum is deen mein kaise dakhil hon jis ki muddat 71 saal hai. Ye sunker rasulallah salallahoalihewasslam muskuraye jis per yahud ne kaha. Kya uske alawa bhi kuch aur hai? Huzoor salallahoalaihewassalam ne padha

"Alif-Lam-Meem-Shwad" "Alif-Lam-Ra" "Alif-Lam-Meem-Ra"

ye sunker yahud ne kaha aapne hamari sochi huyi baat ko maat kar diya hum nahi jante ke un mein se kisko le.

Allama baizawi farmate hai huzoor aqdas salallahoalaihewasallam ka us tarteeb ye padh ker yahud ko sunana aur unhone jo hisab lagaya tha rad na karna uski dalil hai ye qaumon ki miaad bata dene k liye hai.

iska tehat sheikh zada mein hai. huzoor ka un suraton k shru karne ko aql yani kam tadaad walon k baad padha k is qaul k jawab mein kya iske alawa kuch aur hai? aur aise hi huzoor ka unke astanmbat yani nateeja akhaj karne ko maan lena aur us per inkar n karna is baat per lalat karta hai huzoor k nazdeek bhi us se ishara madat ki taraf hai.

In sabka hasil ye hai k

"Alif-Lam-Meem" k adad 71 hai jab huzoor salallahoalaihewassallam ne ye telawat ki to us adad ka lihaz kar k yahud ne kaha us din ka muddat 71 saal hai is liye k jumle k hisaab se "Alif-Lam-Meem" ke "71" adad hai agar aidad ka aitbar kuch nahi tha to huzoor farma dete k tum kya bakte ho huroof k aidad ka koi aitbaar nahi ye kaladam (na hone ki tarah) hai. balke huzoor ne tarteeb wa urdu sire maqtaat padhe wo bhi us tarteeb se k pehle chote aidad k padhe fir bade aidad k maslan "Alif-Lam-Meem-Shwad" iske aidad 161 hai fir "Alif-Lam-Ra" jiske aidad 231 hai fir Alif-Lam-Meem-Ra jiske aidad 271 hai aur ye qiada moqarra (yani shabit suda) hai k jab huzoor k saamne koi baat kahi jaye aur use huzoor roo na farmaye to hadees marfoo hai aur yahan sirf sakoot hi nahi balke unhe ilzaam dene k liye tarteeb waar maqteaat ki telawat bhi hai

is se sabit ho gaya k hroof k un makhsoos aidad ka aitbar khud huzoor aqdas salallahoalaihe wasallam se sabit hai aur ye "munazzal min allah" (yani allah ki taraf se nazil kiya gaya) bhi hai.

No comments:

Post a Comment