Saturday, December 19, 2009

Kya Hamare Dilo Par Tale Lage Hai

Quran main ALLAH taa'la ne 4 chize khana haram kaha hai-mare huwe janwar ka gosh,khun,suwar ka maas aur us janwarko jo ALLAH ke siwaye kisi aur par Qurban kiya ho-Quran 2:173
Kya log ALLAH ki bheji hui wahi Quran par soch vichar nahi karte ya unke dilo par taale lage hai-(Al Quran 47:24)
Quran ki har baat sach hai..jo bhi baatien humare liye haram kahi gayi hai woh humare behtari keliye hai, lekin kya hum sochte bhi hai humara RAB humse kuch keh raha hai?? hume yeh sab bas bandishe lagti hai, haina???
apne non muslims dosto se bhi baat karen, kis tarah Quran humari bhalayi chahta hai unhe bhi samjhaye..

No comments:

Post a Comment