Dua ka mafhoom Allah kareem se mangna , kia mangna, kitna mangna kis tarah mangna yeh mangne wale kay khaloos par munhasir hai keh kia mangta hai kitna mangta hai aur kis tarah se mangta hai har kisi ki dua zaroori nahi keh aik jaisi ho koi be rozgar hai apne liye behtar rozgar ki talab karta hai,koi bimaar hai apne liye jald az jald shafa kamlah ki dua karta hai, koi kisi jaiz ya na jaiz moqadma ki giraft mein hai rehayi kay liye dua go hai koi mqrooz hai qarz ada karne kay liye sabab paida karne ki dua mangta hai, koi be aulaad hai aur la ilaj hai nek aur salah aulaad ka talib hai har koi apne gunahon ki bakhshish o maghfirat kay liye ro ro kar duayein karta hai agar waldain hain aulaad ki sehat o tndurusti aur darazi umer kay liye dast ba dua hai, koi nek aulad hai to waldein ka tader sayah qaim rehne ki iltaja karta hai, agar kisi kay dushman hain to in se hifazat kay liye yaa dushman ki bar badi ki dua karta hai, koi barish ka talib hai to koi barish na hone ka khuwan hai agar koi talib ilm hai apni sunahri kamyabi ki dua karta hai koi musafir hai to bakhairyat safar ki dua karta hai.
“Mujh se dua mango mein tumhari dua qabool kar don ga”.
Duaon ka Biyan
Dua mangna ain insani fitrat ka taqaza hai chunancha jab hum mubtilaye aalam hote hain aur masaib hamein charon taraf se gher lete hain to hamare hath dua kay liye be ikhtiyar uth jate hain, pareshan dil se ma alfaaz pukar ban kar nikalte hain, musibat kay aalam mein nikli huyi yahi aawaz dua kehlati hai, mosibat mein pukarne ki jablat aik mosallma haqiqat hai insan apne is jabli adrak kay tehat aik bartar hasti kay samne apne gunahon ka aitraf karta hai aur ise faryaad ras samajh kar imdad o ayanat ka talib hota hai. Quran majeed mein jo deen fitrat ka tarjuma hai is insani fitrat par in alfaaz mein roshni dalta hai.
“Jab insan ko koi tkleef punche to apne palne wale ko pukarta hai aur hammah tan is ki taraf motawajjah hota hai”.
Jab keh dard mand aur shikastah dil insan bargah ilahi mein apne hath utha ta hai to meharban khuda razi ho kar is ki mosibat ko apne faal o karam se rahat aur is ki pareshani ko chain se badal deta hai aur tamam insanon ko dawat aam de kar fermata hai.
“ Mujh se dua mang mein tumhari dua qabool karon ga.”
Is ki marzi hai keh insan mangta rahe aur vo deta rahe aur vo dete thakta nahi vo mangne se khush hota hai aur na mangne se nakhush kisi Arabic shayar ne kia khoob kaha
“khuda wand kareem se agar na manga jaye to vo naraaz hota hai
Jab keh insanon se kuch manga jaye to vo naraaz hote hain.”
Dua ka Tarika
Do rikat namaz nafal ada kar kay dua mangein, sajde mein ja kar dua mangein, donon hath samne oper kar kay itne buland kar kay baghlein zahir ho jayein kiun keh Sahabah Karam Rizwan Allah Tala Aleem Ajmain ka farman hai keh jab Hazoor Akram (S.A) dua kay liye hath buland farmate to aap ki baghlon ki sufaidi nazar aati thi. Jumah tul Mubarak mein aik ghari aisi aati hai jis mein mangi dua rad nahi hoti bazon kay nazdeek jumah mein donon khutbon kay darmian waqfah hota hai qaboolyat ki ghari hai, baaz raatein buzurg aur mutbarak hain in raaton mein mangi dua qabool hoti hai, mareez ki dua qabool hoti hai, mazloom ki dua qabool hoti hai.Bimari ki Dua
Rawayat hai keh aik bar Rasool Akram (S.A) aik sahabi jo kisi marz mein mubtila tha, ki iyadat kay liye tashreef le gaye aur is ka haal poocha aur ise farmaya keh apni bimari par kisi qisam ka gham na karna bal keh khoosh rahon be shak bimaari gunahon ka kuffarah hai to aap (S.A) ne sahabi se farmaya keh aap hamare liye dua karein kiun keh jo bandah kisi bimari mein mubtila hota hai, vo Allah ki rehmat kay ziada nazdeek hota hai.Dua ki Iqsam
Dua ki teen qismein hain, aik dua vo jo foran qabool ho jati hai, aik dua vo hai jo der mein aur koi dua is dunya mein qabool hi nahi hoti kiun keh Allah tala jante hain keh mere bande ne jo dua mujh se mangi hai yeh is kay haq mein theek hai ya nahi, jo dua qabool nahi hoti is ka silah baroz qiyamat mile ga , aur aadmi khuahish kare ga keh kaash dunya mein meri koi dua qabool hi na hoyi hoti aur aaj mujhe is ka silah milta . Aik dua hoti hai aur aik bad dua hoti hai bad dua se hameshah par heiz karna chahiye na jane vo ghari qaboolyat ki ghari ho, jaise baaz mayein aulaad se tang aakar keh deti hain tera bera gharaq ho jaye, tu mar jaye digar aise kalmaat nahi kehne chahiye aap jab bhi Allah tala se dua mangein to aajzi o inkasari se aur is kay pyare nabi hazrat Muhammad (S.A) ka wasilah dein kiun keh Allah tala kay sewa koi hajat poori karne wala nahi sab Allah talal hi kay mohtaaj hain is kay elawah aap Allah tala kay sifati naam le le kar dua mangein , apne kisi nek amal ka wasilah de kar dua mangein.“Mujh se dua mango mein tumhari dua qabool kar don ga”.
Duaon ka Biyan
Dua mangna ain insani fitrat ka taqaza hai chunancha jab hum mubtilaye aalam hote hain aur masaib hamein charon taraf se gher lete hain to hamare hath dua kay liye be ikhtiyar uth jate hain, pareshan dil se ma alfaaz pukar ban kar nikalte hain, musibat kay aalam mein nikli huyi yahi aawaz dua kehlati hai, mosibat mein pukarne ki jablat aik mosallma haqiqat hai insan apne is jabli adrak kay tehat aik bartar hasti kay samne apne gunahon ka aitraf karta hai aur ise faryaad ras samajh kar imdad o ayanat ka talib hota hai. Quran majeed mein jo deen fitrat ka tarjuma hai is insani fitrat par in alfaaz mein roshni dalta hai.
“Jab insan ko koi tkleef punche to apne palne wale ko pukarta hai aur hammah tan is ki taraf motawajjah hota hai”.
Jab keh dard mand aur shikastah dil insan bargah ilahi mein apne hath utha ta hai to meharban khuda razi ho kar is ki mosibat ko apne faal o karam se rahat aur is ki pareshani ko chain se badal deta hai aur tamam insanon ko dawat aam de kar fermata hai.
“ Mujh se dua mang mein tumhari dua qabool karon ga.”
Is ki marzi hai keh insan mangta rahe aur vo deta rahe aur vo dete thakta nahi vo mangne se khush hota hai aur na mangne se nakhush kisi Arabic shayar ne kia khoob kaha
“khuda wand kareem se agar na manga jaye to vo naraaz hota hai
Jab keh insanon se kuch manga jaye to vo naraaz hote hain.”
No comments:
Post a Comment