Thursday, July 17, 2014

Lisen Quran & Read in Hindi

Dua in Urdu:

Basa awqaat qabulyat dua ki takheer mein kafi maslahatain bhi hoti hain jo hamari samajh mein nahi aati hain. Hazrat Muhammad (SAW) ka farman aalishan hain jab Allah Taala ka koi pyara dua karta hai. Jibrail (AS) arz karte hain. Elaahi! “Tera bandah tujh se kuch maangta hai. Hokum hota hai, thehro! Abhi nah do. Takeh phir mangay keh mujh ko is ki aawaz pasand hai”. aur jab koi kafir-e-ya fasiq dua karta hai. Fermata hai, “is ka kaam jaldi karo, takeh phir na mangay keh mujh ko is ki aawaz makroh yani napasand hai”.
Dua Teen Baaton se Khali Nahi Hoti:
Hazrat Muhammad (SAW) farmate hain, dua banday ki teen baton se khali nahi hoti
1) ya us ka guanah bakhsha jata hai ya
2) usay faidah hasil hota hai. ya
3) us ke liye aakhrat mein bhalayi jama ki jati hai keh jab bandah aakhrat mein apni un duayon ka sawab dekhay ga jo dunya mein mustajaab (yani qabul) na huyi thi’n. Tamanna karay ga, kaash dunya mein meri koi dua qabul na hoti aur sab yahin (yani aakhrat ) ke waste jama ho jatain.

Dua Raaigan Nahi jati hai:
Dua raaigan to jati hi nahi hai, is ka dunya mein agar asar zahir na bhi ho to aakhrat mein ajar-o-sawab behar haal mil hi jata hai. lehaza dua main susti karna munasib nahi hai keh dua mangne mein kum az kum yeh panch sayadatain to behar haal hasil ho hi jati hain.
1. Pehla faidah yeh hai keh Allah taala ke hokum ki pairwi hoti hai keh us ka hokum hai keh mujh se dua maanga karo.
2. Dua mangna sunnat bhi to hai keh hamare pyare Aaqa (SAW) aksar awqaat dua mangtay. Lehaza dua mangne se hamain itbaa sunnat ka bhi to sharf hasil hoga.
3. Dua mangne mein ataut rasul(SAW) bhi hai keh aap (SAW) dua ki apne ghulamon ko takeed farmate rehte.
4. Dua mangne wala aabidon ke zamrah (yani groh) mein daakhil hota hai keh dua bazat-e-khud aik ibaadat balkeh ibaadat ka bhi maghaz hai. jaisa keh hamare pyare Aaqa (SAW) ka farman hai “ dua ibaadat ka maghaz hai
5. Ya to dua mangne se us ka gunah muaaf kia jata hai ya dunya hi mein us ke masail hal hote hain ya phir woh dua us ke liye aakhrat ka zakhirah ban jati hai.

3 Shakhshon ki Dua Rud Nahi ki Jati :

Rozah dar kitna khush nasib hota hai keh har waqt Allah Taala ki raza hasil karta rehta hai. yahan tak keh jab iftar ka waqt aata hai to is waqt woh jo kuch bhi dua mangta hai Allah usay apne fazal se qabul fermata hai. chunancha
Hazrat Muhammad (SAW) ka farman hai 3 shakhshon ki dua rud nahi ki jati

1) Aik roazah dar ki bawaqt iftar.
2) Dusray baadsha aadil ki.
3) Teesray mazlum ki.
In teenon ki dua Allah baadalon se bhii uper utha leta hai. aur aasman ke darwaze us ke liye khul jatay hain aur Allah taala farmata hai, “mujhay meri izzat ki qasam! Mein teri zarur madad farmaun ga. Agar che takhir ho jaye.”

Dua ke Qabul Mein Jaldi na Karay:

Dua ke qabul mein jaldi na karay. Hadees shareef mein hai keh khudaye taala teen aadmiyon ki dua qabul nahi karta.
1) Woh keh gunah ki dua mange.
2) Woh keh aisi baat chahe keh qata reham ho.
3) Woh keh qabul mein jaldi karay keh main ne dua mangi, ab tak qabul nahi huyi. Aisa shaksh ghabra kar dua chor deta hai aur matlab se mehrum rehta hai.

Nazar-e-Karam Rakhta Hai:

Tera parwardiagar fermata hai “ mein dua mangne wale ki dua qabul karta hon. Jab se dua maangay, dua bohat mango aur mujh ko apni musibat ke waqt yaad karo. Takeh blaa se nijaat pao. Hum kia ache qabul karne wale hain. Mujh se dua mango main qabul farmaunga. Pas yaqeen samjh keh woh tujhay apne dar se mehrum nahi kare ga. Aur apne wade ko wafa farmaye ga. Woh apne habeeb se fermata hai sail ko nah jharak. Aap kis tarah apne khuan-e-karam se dur karay ga. Balkeh woh tujh par nazar-e-karam rakhta hai. keh teri dua kay qabul karne mein der karta hai.

Dua Momin ka Hathyar

Dua ka mafhoom Allah kareem se mangna , kia mangna, kitna mangna kis tarah mangna yeh mangne wale kay khaloos par munhasir hai keh kia mangta hai kitna mangta hai aur kis tarah se mangta hai har kisi ki dua zaroori nahi keh aik jaisi ho koi be rozgar hai apne liye behtar rozgar ki talab karta hai,koi bimaar hai apne liye jald az jald shafa kamlah ki dua karta hai, koi kisi jaiz ya na jaiz moqadma ki giraft mein hai rehayi kay liye dua go hai koi mqrooz hai qarz ada karne kay liye sabab paida karne ki dua mangta hai, koi be aulaad hai aur la ilaj hai nek aur salah aulaad ka talib hai har koi apne gunahon ki bakhshish o maghfirat kay liye ro ro kar duayein karta hai agar waldain hain aulaad ki sehat o tndurusti aur darazi umer kay liye dast ba dua hai, koi nek aulad hai to waldein ka tader sayah qaim rehne ki iltaja karta hai, agar kisi kay dushman hain to in se hifazat kay liye yaa dushman ki bar badi ki dua karta hai, koi barish ka talib hai to koi barish na hone ka khuwan hai agar koi talib ilm hai apni sunahri kamyabi ki dua karta hai koi musafir hai to bakhairyat safar ki dua karta hai.

Dua ka Tarika

Do rikat namaz nafal ada kar kay dua mangein, sajde mein ja kar dua mangein, donon hath samne oper kar kay itne buland kar kay baghlein zahir ho jayein kiun keh Sahabah Karam Rizwan Allah Tala Aleem Ajmain ka farman hai keh jab Hazoor Akram (S.A) dua kay liye hath buland farmate to aap ki baghlon ki sufaidi nazar aati thi. Jumah tul Mubarak mein aik ghari aisi aati hai jis mein mangi dua rad nahi hoti bazon kay nazdeek jumah mein donon khutbon kay darmian waqfah hota hai qaboolyat ki ghari hai, baaz raatein buzurg aur mutbarak hain in raaton mein mangi dua qabool hoti hai, mareez ki dua qabool hoti hai, mazloom ki dua qabool hoti hai.

Bimari ki Dua

Rawayat hai keh aik bar Rasool Akram (S.A) aik sahabi jo kisi marz mein mubtila tha, ki iyadat kay liye tashreef le gaye aur is ka haal poocha aur ise farmaya keh apni bimari par kisi qisam ka gham na karna bal keh khoosh rahon be shak bimaari gunahon ka kuffarah hai to aap (S.A) ne sahabi se farmaya keh aap hamare liye dua karein kiun keh jo bandah kisi bimari mein mubtila hota hai, vo Allah ki rehmat kay ziada nazdeek hota hai.
Dua ki Iqsam
Dua ki teen qismein hain, aik dua vo jo foran qabool ho jati hai, aik dua vo hai jo der mein aur koi dua is dunya mein qabool hi nahi hoti kiun keh Allah tala jante hain keh mere bande ne jo dua mujh se mangi hai yeh is kay haq mein theek hai ya nahi, jo dua qabool nahi hoti is ka silah baroz qiyamat mile ga , aur aadmi khuahish kare ga keh kaash dunya mein meri koi dua qabool hi na hoyi hoti aur aaj mujhe is ka silah milta . Aik dua hoti hai aur aik bad dua hoti hai bad dua se hameshah par heiz karna chahiye na jane vo ghari qaboolyat ki ghari ho, jaise baaz mayein aulaad se tang aakar keh deti hain tera bera gharaq ho jaye, tu mar jaye digar aise kalmaat nahi kehne chahiye aap jab bhi Allah tala se dua mangein to aajzi o inkasari se aur is kay pyare nabi hazrat Muhammad (S.A) ka wasilah dein kiun keh Allah tala kay sewa koi hajat poori karne wala nahi sab Allah talal hi kay mohtaaj hain is kay elawah aap Allah tala kay sifati naam le le kar dua mangein , apne kisi nek amal ka wasilah de kar dua mangein.

“Mujh se dua mango mein tumhari dua qabool kar don ga”.

Duaon ka Biyan

Dua mangna ain insani fitrat ka taqaza hai chunancha jab hum mubtilaye aalam hote hain aur masaib hamein charon taraf se gher lete hain to hamare hath dua kay liye be ikhtiyar uth jate hain, pareshan dil se ma alfaaz pukar ban kar nikalte hain, musibat kay aalam mein nikli huyi yahi aawaz dua kehlati hai, mosibat mein pukarne ki jablat aik mosallma haqiqat hai insan apne is jabli adrak kay tehat aik bartar hasti kay samne apne gunahon ka aitraf karta hai aur ise faryaad ras samajh kar imdad o ayanat ka talib hota hai. Quran majeed mein jo deen fitrat ka tarjuma hai is insani fitrat par in alfaaz mein roshni dalta hai.

“Jab insan ko koi tkleef punche to apne palne wale ko pukarta hai aur hammah tan is ki taraf motawajjah hota hai”.

Jab keh dard mand aur shikastah dil insan bargah ilahi mein apne hath utha ta hai to meharban khuda razi ho kar is ki mosibat ko apne faal o karam se rahat aur is ki pareshani ko chain se badal deta hai aur tamam insanon ko dawat aam de kar fermata hai.

“ Mujh se dua mang mein tumhari dua qabool karon ga.”

Is ki marzi hai keh insan mangta rahe aur vo deta rahe aur vo dete thakta nahi vo mangne se khush hota hai aur na mangne se nakhush kisi Arabic shayar ne kia khoob kaha

“khuda wand kareem se agar na manga jaye to vo naraaz hota hai
Jab keh insanon se kuch manga jaye to vo naraaz hote hain.”

Kamyabi Ki Dua

asslam alyekum

duwa se pahle aur baad me 21 martba Durede shareef parhna
hai. Duwa ye hi..( Haq Haq Haq Bismillah hirraheman
nirrahim,  Ya Musabbibu sabbib  Ya Mudabbiru dabbir
Ya mufattihu fatte  Ya Musayiru yassir Bi haqqi Lailaha
illa Allah Muhammadur rasulillha sallalaho alyehi  o
sallim )
حق حق حق بسم الله الرحمن الرحيم يا مسبب سبب يا مدبر دببر يا مفتح فتح يا مسير يسر بحق لااله
الا الله محمد رسول الله صلى الله و عليه و سلم
duwa karne se phele niyat karlo ke Allah tala apni rahemat se mera masla hal kardengay.. Allah tala zaroer kamyab karengay..
pancho namaaz ke baad waqat na mil saka to din me do time zaror praha kare.aur Allah se apni hajat talb kare..
Duwa sirf Apne bhai , baheno ke masayel hal karne ke liye post kar raha hoon.
duwa ke sath sath Quraan-e-karim ki tilawat ka ehetemaam kare insha Allah zaror kamyaab hogay...
Aap ki duwawo ka talib

link

Dua maangne ka tarika kya ho

Dua maangne ka tarika kya ho
--------------- --------------- - -------
Dua maangne ka behtar tarika ye
hai ki jese hum namaz ke kaide
mein bethte hain wese adab se
beth jaaye.
Dua is tarike se kare.
(1) Sabse pahle 3 baar darud
sharif padhe.
(2) Phir Allah ki taarif bayan kare.
(3) Phir apne maa-baap ke liye
dua kare.
(4) Phir apne ghar walo,
rishtedaro aur islami bhaiyo ke
liye dua kare
(5) Sabse aakhir mein apne liye
dua kare.
(6) Dua puri hone ke baad phir 3
baar darud sharif padhe.
(7) Aur yeh bhi keh sakte hain ki
Allah meri in duao ko apne habib
hazrat Muhammad (sallallahu
alyhiwasallam) ke sadke tufel
mein kubul farma.
Dua mein in baato ka dhyan
rakhe.
(1) Dua beth kar ya sajde mein
jaakar kar sakte hain, lekin sajde
mein jaakar karoge to jaldi kubul
hone ke chance hoge kyonki
sajde ki halat mein banda Allah ke
bahut karib hota hai.
(2) Dua karte time aisa na ho ki
sirf zuban par dua chal rahi hai
aur dhyan kahi aur hai yaani dua
mein Allah ka dhyan rakhe ki hum
usse dua kar rahe hain.
(3) Jese koi baccha ro-rokar, zid
karke apne maa-baap se koi
cheez maangta hai, Allah se bhi
wese hi rokar, gidgida kar dua
kare, agar rona na aaye to rone
jesa muh hi bana le.
(4) Dil mein ye yakin rakhe ki Allah
meri dua zarur sunega.
(5) Allah se sirf acchi dua hi
maange, aisi dua na kare ki Allah
mujhe aaj jua mein jita de, ya
mujhko accha chor bana de
wagera-wagera.
Kaun si dua hamesha kare -
Allah se hamesha dozakh se
panah maango aur jannatul
firdaus ki dua maango (kyonki
saari jannato mein sabse badi
jannatul firdaus hai). Apne
gunaho ki maafi maango. Duniya
aur akherat ki kaamyaabi
maango. Allah se dua karo ki Allah
humko Islam ke sahi raaste par
chala.
Dua maangna sunnat hai aur dua
Allah ki ibadat ka ek tarika bhi hai,
isliye hamesha dua karte rahiye
aur mujhe bhi apni duao mein
yaad rakhna.